Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_86ee995fbe6c5117a7678cd7e7b3adbb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Puchhte Ho Mujhse Ki Main Kis Nagar Ka Tha - Akhtar Hoshiyarpuri Poetry In English - Darsaal

Kya Puchhte Ho Mujhse Ki Main Kis Nagar Ka Tha

kya puchhte ho mujh se ki main kis nagar ka tha

jalta hua charagh meri rah-guzar ka tha

hum jab safar pe nikle the taron ki chhanw thi

phir apne ham-rikab ujala sahar ka tha

sahil ki gili ret ne baKHsha tha pairahan

jaise samundaron ka safar chashm-e-tar ka tha

chehre pe uDti gard thi baalon mein rakh thi

shayad wo ham-safar mere ujDe nagar ka tha

kya chiKHti hawaon se ahwal puchhta

saya hi yaadgar mere ham-safar ka tha

yaksaniyat thi kitni hamare wajud mein

apna jo haal tha wahi aalam bhanwar ka tha

wo kaun tha jo le ke mujhe ghar se chal paDa

surat KHizar ki thi na wo chehra KHizar ka tha

dahliz par kar na sake aur lauT aae

shayad musafiron ko KHatar baam-o-dar ka tha

kachche makan jitne the barish mein bah gae

warna jo mera dukh tha wo dukh umr bhar ka tha

main us gali se kaise guzarta jhuka ke sar

aaKHir ko ye muamla bhi sang-o-sar ka tha

logon ne KHud hi kaT diye raston ke peD

'aKHtar' badalti rut mein ye hasil nazar ka tha

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Puchhte Ho Mujhse Ki Main Kis Nagar Ka Tha In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Kya Puchhte Ho Mujhse Ki Main Kis Nagar Ka Tha is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Kya Puchhte Ho Mujhse Ki Main Kis Nagar Ka Tha for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Kya Puchhte Ho Mujhse Ki Main Kis Nagar Ka Tha in PDF.