KHwahishen Itni BaDhin Insan Aadha Rah Gaya
KHwahishen itni baDhin insan aadha rah gaya
KHwab jo dekha nahin wo bhi adhura rah gaya
main to us ke sath hi ghar se nikal kar aa gaya
aur pichhe ek dastak ek saya rah gaya
us ko to pairahanon se koi dilchaspi na thi
dukh to ye hai rafta rafta main bhi nanga rah gaya
rang taswiron ka utra to kahin Thahra nahin
ab ke wo barish hui har naqsh phika rah gaya
umr bhar manzar-nigari KHun mein utri rahi
phir bhi aankhon ke muqabil ek dariya rah gaya
raunaqen jitni thin dahlizon se bahar aa gain
sham hi se ghar ka darwaza khula kya rah gaya
ab ke shahr-e-zindagi mein saneha aisa hua
main sada deta use wo mujh ko takta rah gaya
titliyon ke par kitabon mein kahin gum ho gae
muTThiyon ke aaine mein ek chehra rah gaya
rail ki gaDi chali to ek musafir ne kaha
dekha wo koi station pe baiTha rah gaya
main na kahta tha ki ujlat is qadar achchhi nahin
ek paT khiDki ka aa kar dekh lo wa rah gaya
log apni kirchiyan chun chun ke aage baDh gae
main magar saman ikaTTha karta tanha rah gaya
aaj tak mauj-e-hawa to lauT kar aai nahin
kya kisi ujDe nagar mein dip jalta rah gaya
ungliyon ke naqsh gul-danon pe aate hain nazar
aao dekhen apne andar aur kya kya rah gaya
dhup ki garmi se inTen pak gain phal pak gae
ek hamara jism tha aKHtar jo kachcha rah gaya
(815) Peoples Rate This