Harif-e-dastan Karna PaDa Hai
harif-e-dastan karna paDa hai
zamin ko aasman karna paDa hai
nikal kar aa gae hain jangalon mein
makan ko la-makan karna paDa hai
sawa neze pe suraj aa gaya tha
lahu ko saeban karna paDa hai
bahut tarik thin hasti ki rahen
badan ko kahkashan karna paDa hai
kise malum lams un ungliyon ka
hawa ko raaz-dan karna paDa hai
wo shayad koi sachchi baat kah de
use phir bad-guman karna paDa hai
main apne sare patte fash karta
magar aisa kahan karna paDa hai
safar aasan nahin haraf o qalam ka
hamein tai haft-KHwan karna paDa hai
tha jis se iKHtilaf-e-rae mumkin
usi ko mehrban karna paDa hai
saf-e-ada mein apne bazuon ko
mujhe 'aKHtar' kaman karna paDa hai
(686) Peoples Rate This