Harf-e-be-awaz Se Dahka Hua
harf-e-be-awaz se dahka hua
ek diya hun taq mein jalta hua
is taraf diwar ke bhi main hi tha
us taraf bhi main hi tha baiTha hua
aanganon mein phul the mahke hue
khiDkiyon mein chand tha Thahra hua
kore kaghaz par ajab tahrir thi
paDhte paDhte main jise andha hua
kya kahun dast-e-hawa ke shobade
ret par ek nam tha likkha hua
mere KHun ki gardishen bhi baDh gain
us qaba ka rang bhi gahra hua
ungliyon mein us badan ka loch hai
rang-o-KHushbu ka safar taza hua
raat bhar jis ki sada aati rahi
sochta hun wo parinda kya hua
jagti aankhon mein 'aKHtar' aks kya
main ne dekha qafila jata hua
(720) Peoples Rate This