Ek Nur Tha Ki Pichhle Pahar Ham-safar Hua
ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua
mujh ko qaba ka chaak hi chaak-e-sahar hua
sailab umanD ke shahar ki galiyon mein aa gae
lekin gharib-e-shahr ka daman na tar hua
zindan-e-arzu mein nazar be-basar rahi
diwar dar hui to kiran ka guzar hua
wo aandhiyan chali hain ki ashjar ukhaD gae
dukkan-e-shishagar pe na phir bhi asar hua
ab kaun dekhta phire kyun baam-o-dar jale
jo kuchh hua hai fasl-e-chaman se udhar hua
(698) Peoples Rate This