Dasht-dar-dasht Aks-e-dar Hai Yahan
dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan
tum bhi aao ki mera ghar hai yahan
phailti ja rahi hai surKH lakir
jaise koi lahu mein tar hai yahan
dhup se bach ke jaen aur kahan
apni zat ek ghana shajar hai yahan
wahi miTTi hai sab ke chehron par
aaina sab se ba-KHabar hai yahan
shaKH-dar-shaKH ek saya hai
chand jo hai pas-e-shajar hai yahan
Dub kar jis mein apni thah mili
lamha lamha wahi bhanwar hai yahan
pattharon mein hazar chehre hain
han magar koi tisha-gar hai yahan
kuchh mujhe bhi yahan qarar nahin
kuchh tera gham bhi dar-ba-dar hai yahan
zahr ki kaT kis se ho 'aKHtar'
waqt ka marg-e-neshtar hai yahan
(740) Peoples Rate This