Dard Ki Daulat-e-nayab Ko Ruswa Na Karo

dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo

wo nazar raaz hai us raaz ka charcha na karo

wusat-e-dasht mein diwane bhaTak jate hain

dosto aahu-e-ram-KHurda ka pichha na karo

tum muqaddar ka sitara ho mere pas raho

tum jabin-e-shab-e-namnak pe ubhra na karo

pas-e-diwar bhi diwar ka aalam hoga

tum yunhi rauzan-e-diwar se jhanka na karo

ghar palaT aane mein aafiyat-e-jaan hai yaro

jab hawa tez chale rah mein Thahra na karo

ya dil-o-dida ko tanwir-e-mohabbat baKHsho

ya dam-e-subh zamane mein ujala na karo

ye jahan-e-guzaran hath kise aaya hai

pichhe muD muD ke kisi shaKHs ko dekha na karo

bhagte lamhe ko kab rok saka hai koi

wo to ek saya hai sae ki tamanna na karo

sar salamat nahin rahte hain zaban kaTti hai

pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo

pyas bujhti hai kahan tapte bayabanon ki

meri aankhon meri aankho yunhi barsa na karo

zist hai tez-qadam aage nikal jaegi

tum kisi moD pe rukne ka irada na karo

kuchh idhar sae hain jo baDh ke lipaT jate hain

'aKHtar' is rah se ho kar kabhi guzra na karo

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ki Daulat-e-nayab Ko Ruswa Na Karo In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Dard Ki Daulat-e-nayab Ko Ruswa Na Karo is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Dard Ki Daulat-e-nayab Ko Ruswa Na Karo for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Dard Ki Daulat-e-nayab Ko Ruswa Na Karo in PDF.