Chehre Ke KHadd-o-Khaal Mein Aaine JaDe Hain
chehre ke KHadd-o-KHal mein aaine jaDe hain
hum umr-e-gurezan ke muqabil mein khaDe hain
har sal naya sal hai har sal gaya sal
hum uDte hue lamhon ki chaukhaT pe paDe hain
dekha hai ye parchhain ki duniya mein ki aksar
apne qad-o-qamat se bhi kuchh log baDe hain
shayad ki mile zat ke zindan se rihai
diwar ko chaTa hai hawaon se laDe hain
uDte hain parinde to yahan jhil bhi hogi
tapta hai bayaban-e-badan kos kaDe hain
shayad koi isa-nafas aae unhen puchhe
ye lafz jo be-jaan se kaghaz pe paDe hain
is baat ka mafhum main samjha nahin 'aKHtar'
taswir mein sahil pe kai kachche ghaDe hain
(717) Peoples Rate This