Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3a4e86e0559e4b5b143982e188e6a6d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Us Se Ishq Ka Izhaar Kar Ke Dekhte Hain - Akhtar Hashmi Poetry In English - Darsaal

Hum Us Se Ishq Ka Izhaar Kar Ke Dekhte Hain

hum us se ishq ka izhaar kar ke dekhte hain

kiya hai jurm to iqrar kar ke dekhte hain

hai ishq jang to phir jit len chalo hum log

hai dariya aag ka to par kar ke dekhte hain

hai kohsar to nahren nikal den is se

hai regzar to gulzar kar ke dekhte hain

hum us ko dekhna chahen to kis tarah dekhen

so us ki yaad ko kirdar kar ke dekhte hain

wo hosh-mand agar hai to kar den diwana

wo be-KHabar hai to hushiyar kar ke dekhte hain

hamare sar pe to aati nahin koi dastar

so apne sar ko hi dastar kar ke dekhte hain

(2208) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Us Se Ishq Ka Izhaar Kar Ke Dekhte Hain In English By Famous Poet Akhtar Hashmi. Hum Us Se Ishq Ka Izhaar Kar Ke Dekhte Hain is written by Akhtar Hashmi. Read famous Poem Hum Us Se Ishq Ka Izhaar Kar Ke Dekhte Hain for youth and Student by Akhtar Hashmi. Free Download Hum Us Se Ishq Ka Izhaar Kar Ke Dekhte Hain in PDF.