Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha
nafraton se chehra chehra gard tha
mujrim-e-insaniyat har fard tha
kuchh hawaon mein bhi tha KHauf-o-hiras
kuchh fazaon ka bhi chehra zard tha
be-hisi mein dafn thi insaniyat
aadamiyyat ka bhi lahja sard tha
apne kandhon par uThae apna bojh
koi aawara koi shab-gard tha
phul se chehre the murjhae hue
shahr-e-gul bhi aaj shahr-e-dard tha
jis ne duniya bhar ke gham apnae the
us ko duniya ne kaha be-dard tha
sach to 'aKHtar' ye hai us mahaul mein
mera dushman hi mera hamdard tha
(660) Peoples Rate This