Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_017c8d5f1b95c45d4bcbb4b3369cb056, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud-faramosh Jo Paya Hai Mujhe Duniya Ne - Akhtar Bastavi Poetry In English - Darsaal

KHud-faramosh Jo Paya Hai Mujhe Duniya Ne

KHud-faramosh jo paya hai mujhe duniya ne

mere hathon se bhi luTa hai mujhe duniya ne

dil to be-dam bika zehn ki qimat na lagi

kaise bazar mein becha hai mujhe duniya ne

waqf-e-jazbaat na hone ki saza di hai ajab

aatish-e-sard mein phunka hai mujhe duniya ne

ham-safar mujh ko banane se gurezan hai magar

har nae moD pe DhunDa hai mujhe duniya ne

be-asar meri futuhat rahi hain 'aKHtar'

main jo haara hun to puja hai mujhe duniya ne

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-faramosh Jo Paya Hai Mujhe Duniya Ne In English By Famous Poet Akhtar Bastavi. KHud-faramosh Jo Paya Hai Mujhe Duniya Ne is written by Akhtar Bastavi. Read famous Poem KHud-faramosh Jo Paya Hai Mujhe Duniya Ne for youth and Student by Akhtar Bastavi. Free Download KHud-faramosh Jo Paya Hai Mujhe Duniya Ne in PDF.