Chaho To Mera Dukh Mera Aazar Na Samjho

chaho to mera dukh mera aazar na samjho

lekin mere KHwabon ko gunahgar na samjho

aasan nahin insaf ki zanjir hilana

duniya ko jahangir ka darbar na samjho

aangan ke sukun ki koi qimat nahin hoti

kahte ho jise ghar use bazar na samjho

ujDe hue taqon pe jami gard ki tah mein

ru-posh hain kis qism ke asrar na samjho

ehsas ke sau zaKHm bacha sakte ho 'aKHtar'

izhaar-e-murawwat ko agar pyar na samjho

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaho To Mera Dukh Mera Aazar Na Samjho In English By Famous Poet Akhtar Bastavi. Chaho To Mera Dukh Mera Aazar Na Samjho is written by Akhtar Bastavi. Read famous Poem Chaho To Mera Dukh Mera Aazar Na Samjho for youth and Student by Akhtar Bastavi. Free Download Chaho To Mera Dukh Mera Aazar Na Samjho in PDF.