Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f8b0711bb4d649eb418bcd88f5b29313, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Masjid-o-mandir Ka Yun JhagDa MiTana Chahiye - Akhtar Azad Poetry In English - Darsaal

Masjid-o-mandir Ka Yun JhagDa MiTana Chahiye

masjid-o-mandir ka yun jhagDa miTana chahiye

is zamin par pyar ka ek ghar banana chahiye

mazhabon mein kya likha hai ye batana chahiye

us ko gita aur use quran paDhana chahiye

wo diwali ho ke baisakhi ho christmas ho ke id

mulk ki har qaum ko mil kar manana chahiye

dosto is se baDi koi ibaadat hi nahin

aadmi ko aadmi ke kaam aana chahiye

kaun se mazhab mein likkha hai ki nafrat dharm hai

mil ke is duniya se nafrat ko miTana chahiye

chahte hai jo kai TukDon mein is ko banTana

aise ghaddaron se bhaarat ko bachana chahiye

(3534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masjid-o-mandir Ka Yun JhagDa MiTana Chahiye In English By Famous Poet Akhtar Azad. Masjid-o-mandir Ka Yun JhagDa MiTana Chahiye is written by Akhtar Azad. Read famous Poem Masjid-o-mandir Ka Yun JhagDa MiTana Chahiye for youth and Student by Akhtar Azad. Free Download Masjid-o-mandir Ka Yun JhagDa MiTana Chahiye in PDF.