Jo Sakun Na Ras Aaya To Main Gham Mein Dhal Raha Hun
jo sakun na ras aaya to main gham mein Dhal raha hun
gham-e-zindagi se kah do ki main ruKH badal raha hun
main bana hun ashk-e-gham KHud tumhein kyun main khal raha hun
ye nikalo mera qissa ki main KHud nikal raha hun
teri bazm-e-KHud-gharaz ne kai rang badle lekin
main harif-e-shama ban kar usi tarah jal raha hun
yunhi Talte rahe tum meri KHwahishon ko lekin
magar ab zara sambhalta main bahut machal raha hun
rah-e-shauq mein unhen bhi lagi mere sath Thokar
wo sambhal chuke hain lekin main abhi sambhal raha hun
wahi azm-e-mustaqil hai rah-e-zindagi mein 'aKHtar'
na gham-e-shikasta-pai na main hath mal raha hun
(1814) Peoples Rate This