Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1cc590cc23222c4e9d13f3c93efce44d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Taba Ishrat-pasand Rakhta Hun - Akhtar Ansari Poetry In English - Darsaal

Taba Ishrat-pasand Rakhta Hun

taba ishrat-pasand rakhta hun

ek dil-e-dardmand rakhta hun

bahut kahta nahin main pasti ko

apni fitrat buland rakhta hun

chashm-e-baatin se dekhta hun main

chashm-e-zahir ko band rakhta hun

lafz shirin hain aur mani talKH

zahr-amez qand rakhta hun

kaamyabi muhaal hai 'aKHtar'

zauq itna buland rakhta hun

(849) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Taba Ishrat-pasand Rakhta Hun In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Taba Ishrat-pasand Rakhta Hun is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Taba Ishrat-pasand Rakhta Hun for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Taba Ishrat-pasand Rakhta Hun in PDF.