Suna Ke Apne Aish-e-tam Ki Rudad Ke TukDe
suna ke apne aish-e-tam ki rudad ke TukDe
uDa dunga kisi din charKH ki bedad ke TukDe
asiri ko ata kar ke asiri ka sharaf hum ne
uDa Dale KHud apni fitrat-e-azad ke TukDe
kahan ka aadmi insan kaisa ma-hasal ye hai
kahin ashKHas ke purze kahin afrad ke TukDe
tabahi ke mazon se bhi gae ab wae-mahrumi
sameTunga kahan tak hasrat-e-barbaad ke TukDe
ye sina talKH yaadon ka KHazina hi sahi lekin
bahut chubhte hain dil mein ek nukili yaad ke TukDe
tum achchhe hi sahi mera bura hona bhi hai bar-haq
ki hum sab hain kisi majmua-e-azdad ke TukDe
hamein laKHt-e-jigar khane ko hargiz kam na tha 'aKHtar'
magar qismat mein likkhe the jahanabaad ke TukDe
(722) Peoples Rate This