Saf Zahir Hai Nigahon Se Ki Hum Marte Hain

saf zahir hai nigahon se ki hum marte hain

munh se kahte hue ye baat magar Darte hain

ek taswir-e-mohabbat hai jawani goya

jis mein rangon ke ewaz KHun-e-jigar bharte hain

ishrat-e-rafta ne ja kar na kiya yaad hamein

ishrat-e-rafta ko hum yaad kiya karte hain

aasman se kabhi dekhi na gai apni KHushi

ab ye haalat hai ki hum hanste hue Darte hain

sher kahte ho bahut KHub tum 'aKHtar' lekin

achchhe shair ye suna hai ki jawan marte hain

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saf Zahir Hai Nigahon Se Ki Hum Marte Hain In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Saf Zahir Hai Nigahon Se Ki Hum Marte Hain is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Saf Zahir Hai Nigahon Se Ki Hum Marte Hain for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Saf Zahir Hai Nigahon Se Ki Hum Marte Hain in PDF.