Pur-kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-nur Ujale Hote Hain
pur-kaif ziyaen hoti hain pur-nur ujale hote hain
jab KHak-basar dil hota hai aur arsh pe nale hote hain
hanste hain dahan-e-zaKHm se hum gate hain fughan ke barbat par
aashufta-saron ki duniya ke sab Dhang nirale hote hain
kya qahr barasta hai dil par sawan ki shabon mein kya kahiye
kuchh dard ki phuwaren hoti hain kuchh yas ke jhaale hote hain
in ujDe hue armanon ko kis shauq se dil ne sincha tha
barbaad magar hote hain wahi jo nam ke pale hote hain
chahat ke sitam bardasht karen mar mar ke jien aur mar na saken
kya jaaniye kis miTTi ke bane ye chahne wale hote hain
dil tang na ho ai rah-raw-e-gham kanTon ke liye to kam se kam
manind-e-nawed-e-abr-e-karam ye panw ke chhaale hote hain
uf-re wo nazakat lahje ki baaten jo nikalti hain munh se
ya chand ki kirnen hoti hain ya barf ke gale hote hain
ye dard-e-junun ye soz-e-jigar in kaifiyaton ke gird 'aKHtar'
tasKHir ke halqe hon ki na hon taqdis ke haale hote hain
(718) Peoples Rate This