Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b811b6c2eb2d6c35fa881ed1a61a19c9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya - Akhtar Ansari Poetry In English - Darsaal

Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya

phul sunghe jaane kya yaad aa gaya

dil ajab andaz se lahra gaya

us se puchhe koi chahat ke maze

jis ne chaha aur jo chaha gaya

ek lamha ban ke aish-e-jawedan

meri sari zindagi par chha gaya

ghuncha-e-dil hae kaisa ghuncha tha

jo khila aur khilte hi murjha gaya

ro raha hun mausam-e-gul dekh kar

main samajhta tha mujhe sabr aa gaya

ye hawa ye barg-e-gul ka ehtizaz

aaj main raaz-e-musarrat pa gaya

'aKHtar' ab barsat ruKHsat ho gai

ab hamara raat ka rona gaya

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Phul Sunghe Jaane Kya Yaad Aa Gaya in PDF.