Mohabbat Hai Aziyyat Hai Hujum-e-yas-o-hasrat Hai
mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai
jawani aur itni dukh bhari kaisi qayamat hai
wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai
lab-e-dariya mujhe lahron se yunhi chahal karne do
ki ab dil ko isi ek shughl-e-be-mani mein rahat hai
tera afsana ai afsana-KHwan rangin sahi mumkin
mujhe rudad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai
koi roe to main be-wajh KHud bhi rone lagta hun
ab 'aKHtar' chahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai
(883) Peoples Rate This