Kisi Se LaDaen Nazar Aur Jhelen Mohabbat Ke Gham Itni Fursat Kahan
kisi se laDaen nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni fursat kahan
uThaen kisi mah-paikar hasina ke jaur-o-sitam itni fursat kahan
zamane ki be-rahmiyon ke tasadduq dimagh-e-nashat-o-alam hi nahin
dil apna kare aarzu-e-jafa ya umid-e-karam itni fursat kahan
Dubo den mai-e-nab ki mastiyon mein falakat ke nakbat ke ehsas ko
bana len kisi aamiyana se kuze hi ko jam-e-jam itni fursat kahan
hon aazad-e-afkar lekin tafakkur mein Dube hue se rahen raat din
tabiat ki be-wajh afsurdagi ke maze luTen hum itni fursat kahan
na mazi hamara na mustaqbil apna kuchh is taur se harf-e-imroz hain
gham-e-dosh ya fikr-e-farda mein 'aKHtar' karen sar ko KHam itni fursat kahan
(854) Peoples Rate This