Har Waqt Nauha-KHwan Si Rahti Hain Meri Aankhen
har waqt nauha-KHwan si rahti hain meri aankhen
ek dukh bhari kahani kahti hain meri aankhen
jazbaat-e-dil ki shiddat sahti hain meri aankhen
gul-rang aur shafaq-gun rahti hain meri aankhen
aish o tarab ke jalse dard o alam ke manzar
kya kuchh na hum ne dekha kahti hain meri aankhen
jab se dil o jigar ki hamdard ban gai hain
ghamginiyon mein Dubi rahti hain meri aankhen
labrez ho ke dil ka saghar chhalak uTha hai
shayad isi sabab se bahti hain meri aankhen
har jumbish-e-nazar hai rudad-e-ishq 'aKHtar'
hain be-zaban magar kuchh kahti hain meri aankhen
(724) Peoples Rate This