CharKH Ki Sai-e-jafa Koshish Nakara Hai
charKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai
gardish-e-dahr yahan jumbish-e-gahwara hai
chand taron ke talatum se ye aata hai KHayal
dil-e-wahshi koi tufan-zada sayyara hai
bah gae dida-e-nam-nak se dariya lekin
dil wahi ek dahakta hua angara hai
dil hua soz-e-jahannam mein giraftar magar
ruh ab bhi kisi firdaus mein aawara hai
kaisi taqdir ki gardish gham-e-dil ko main ne
gardish-e-gumbad-e-aflak pe de mara hai
mere sheron se tarruz na kar ai naqid-e-fan
meri barbaadi-e-dil hi mera shah-para hai
bahjat-e-fikr pe qadir hun main jab tak 'aKHtar'
mujhe sarmaya-e-andoh bahut pyara hai
(720) Peoples Rate This