Bahaar-e-fikr Ke Jalwe LuTa Diye Humne
bahaar-e-fikr ke jalwe luTa diye hum ne
junun-e-ishq ke dariya baha diye hum ne
farogh-e-danish-o-burhan ke shoale bhaDka kar
tawahhumat ke KHirman jala diye hum ne
gira ke dark-o-basirat ki bijliyan paiham
tassubaat ke TukDe uDa liye hum ne
bana ke fikr-o-tadabbur ko KHadim-e-insan
muqaddaraat ke chhakke chhuDa diye hum ne
shuur-e-naqd ki sehat-pasandiyon ki qasam
aqidaton ke parKHache uDa diye hum ne
miTa ke tafarqa-e-KHas-o-am ki lanat
huquq-e-KHas Thikane laga diye hum ne
fatadgan-e-zamin ka buland kar ke alam
falak-nashinon ke parcham jhuka diye hum ne
nae shuur se zehnon mein bijliyan bhar din
nai umangon se dil jagmaga diye hum ne
guman hayat pe hota hai git ki lai ka
kuchh aise git jahan ko suna diye hum ne
tilism toD ke jhuTi haqiqaton ke tamam
ajaibaat ke jadu jaga diye hum ne
wara-e-charKH the aabaad jis qadar firdaus
zamin ki sath pe la kar basa diye hum ne
bana ke mehnat-e-insan ko ek qadr-e-buland
zamin pe chand sitare bichha diye hum ne
jala ke azmat-e-adam ki sham-e-derina
charagh dair-o-haram ke bujha diye hum ne
jo dark rakhte hain aKHtar wo samjhen aur bataen
ye kis sharab ke saghar lunDha diye hum ne
(959) Peoples Rate This