Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b71cfcfaf8c713a7aae20e0d7893a27d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahaar Aai Zamana Hua KHarabaati - Akhtar Ansari Poetry In English - Darsaal

Bahaar Aai Zamana Hua KHarabaati

bahaar aai zamana hua KHarabaati

hamare dil mein bhi ek lahr kash aa jati

hawa bhi sard hai bhigi hai raat bhi lekin

sulag rahi hai kisi aag se meri chhati

mere paDos mein ye zikr hai kai din se

sada jo aati thi rone ki ab nahin aati

laga ke sine se shadabiyon ko so jata

mujhe bahaar-e-jawani mein maut aa jati

baja raha hai koi raat mein sitar 'aKHtar'

dhaDak rahi hai meri aarzuon ki chhati

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Aai Zamana Hua KHarabaati In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Bahaar Aai Zamana Hua KHarabaati is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Bahaar Aai Zamana Hua KHarabaati for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Bahaar Aai Zamana Hua KHarabaati in PDF.