Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7aeaaabc38df9ce33e089ef4b153bd20, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apni UjDi Hui Duniya Ki Kahani Hun Main - Akhtar Ansari Poetry In English - Darsaal

Apni UjDi Hui Duniya Ki Kahani Hun Main

apni ujDi hui duniya ki kahani hun main

ek bigDi hui taswir-e-jawani hun main

aag ban kar jo kabhi dil mein nihan rahta tha

aaj duniya mein usi gham ki nishani hun main

hae kya qahr hai marhum jawani ki yaad

dil se kahti hai ki KHanjar ki rawani hun main

aalam-afroz tapish tere liye laya hun

ai gham-e-ishq tera ahd-e-jawani hun main

charKH hai naghmagar ayyam hain naghme 'aKHtar'

dastan-go hai gham-e-dahr kahani hun main

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni UjDi Hui Duniya Ki Kahani Hun Main In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Apni UjDi Hui Duniya Ki Kahani Hun Main is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Apni UjDi Hui Duniya Ki Kahani Hun Main for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Apni UjDi Hui Duniya Ki Kahani Hun Main in PDF.