Apni Bahaar Pe Hansne Walo Kitne Chaman KHashak Hue
apni bahaar pe hansne walo kitne chaman KHashak hue
apne rafu ko ginne walo kitne gareban chaak hue
diwanon ko kaun batae aaj ki rasm aur aaj ki baat
is ne unhin ki samt nazar ki ishq mein jo bebak hue
shoabada-e-yak tarz-e-karam hai kaisi saza aur kaisi jaza
mauj-e-tabassum jab lahrai tar-daman bhi pak hue
ruKH dekha jis samt hawa ka us jaanib munh kar ke chale
dasht-e-junun ke diwane bhi misl-e-saba chaalak hue
KHak-e-nasheman jab uDti hai dil se dhuan sa uThta hai
hadse is gulzar mein warna aur bahut ghamnak hue
dekhte dekhte duniya badli gulshan kya virana kya
parbat parbat naqsh the jin ke miTte miTte KHak hue
jaan-e-chaman jo gul the 'aKHtar' wo to hue matub o zalil
zeb-e-gulistan raunaq-e-gulshan kal ke KHas-o-KHashak hue
(756) Peoples Rate This