Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f27f9b6a4bd17d6097b35a955a6ea95e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya - Akhtar Ansari Poetry In English - Darsaal

Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya

aarzu ko ruh mein gham ban ke rahna aa gaya

sahte sahte hum ko aaKHir ranj sahna aa gaya

dil ka KHun aankhon mein khinch aaya chalo achchha hua

meri aankhon ko mera ahwal kahna aa gaya

sahl ho jaegi mushkil zabt soz o saz ki

KHun-e-dil ko aankh se jis roz bahna aa gaya

main kisi se apne dil ki baat kah sakta na tha

ab suKHan ki aaD mein kya kuchh na kahna aa gaya

jab se munh ko lag gai 'aKHtar' mohabbat ki sharab

be-piye aaThon pahar madhosh rahna aa gaya

(1104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya in PDF.