Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4efc9cbf979f2961a1d8330b81d2de24, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zaban Band Rahi Dil Ka Muddaa Na Kaha - Akhtar Ansari Akbarabadi Poetry In English - Darsaal

Zaban Band Rahi Dil Ka Muddaa Na Kaha

zaban band rahi dil ka muddaa na kaha

magar nigah ne us anjuman mein kya na kaha

muhit-e-shauq mein hum Dubte ubharte rahe

KHuda gawah kabhi jaur-e-na-KHuda na kaha

sanam-kada hai ki ek mahfil-e-KHuda-wandan

bahut KHafa hua wo but jise KHuda na kaha

hazar KHizr-numa log raston mein mile

hamare dil ne kisi ko bhi rahnuma na kaha

ye kaenat to hai KHair mujh se begana

agar nigah ne teri bhi aashna na kaha

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Band Rahi Dil Ka Muddaa Na Kaha In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Zaban Band Rahi Dil Ka Muddaa Na Kaha is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Zaban Band Rahi Dil Ka Muddaa Na Kaha for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Zaban Band Rahi Dil Ka Muddaa Na Kaha in PDF.