Yun Badalti Hai Kahin Barq-o-sharar Ki Surat
yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat
qabil-e-did hui hai gul-e-tar ki surat
zulf ki aaD mein thi jaan-e-nazar ki surat
raat guzri to nazar aai sahar ki surat
un ke lab par hai tabassum meri aankhon mein surur
kya dikhai hai duaon ne asar ki surat
qafile walo nae qafila-salar aae
ab badal jaegi andaz-e-safar ki surat
kya karishma hai mere jazba-e-azadi ka
thi jo diwar kabhi ab hai wo dar ki surat
ab koi hausla-afza-e-hunar hai 'aKHtar'
ab nazar aaegi arbab-e-hunar ki surat
(771) Peoples Rate This