Yaron Ke IKHlas Se Pahle Dil Ka Mere Ye Haal Na Tha

yaron ke iKHlas se pahle dil ka mere ye haal na tha

ab wo chaknachur paDa hai jis shishe mein baal na tha

insan aa kar nai Dagar par kho baiTha hai hosh-o-hawas

pahle bhi behosh tha lekin aisa bhi bad-haal na tha

gulshan gulshan virani hai jangal jangal sannaTa

hae wo din jab har manzil mein shorish-e-gham ka kal na tha

kyun re diwane shahr yahi hai ek ek pal bhaari hai jahan

apne virane mein ai dil ji ka ye janjal na tha

hum jo luTe us shahr mein ja kar dukh logon ko kyun pahuncha

apni nazar thi apna dil tha koi paraya mal na tha

teri KHak pe raushan raushan 'aKHtar' jaise sitare the

tujh sa ai mahran ki wadi koi buland-iqbaal na tha

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaron Ke IKHlas Se Pahle Dil Ka Mere Ye Haal Na Tha In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Yaron Ke IKHlas Se Pahle Dil Ka Mere Ye Haal Na Tha is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Yaron Ke IKHlas Se Pahle Dil Ka Mere Ye Haal Na Tha for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Yaron Ke IKHlas Se Pahle Dil Ka Mere Ye Haal Na Tha in PDF.