Sharab Aae To Kaif-o-asar Ki Baat Karo
sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo
piyo to bazm mein fikr-o-nazar ki baat karo
fasana-e-KHam-e-gesu mein kaif kuchh bhi nahin
nizam-e-alam-e-zer-o-zabar ki baat karo
chaman mein dam bichhata hai waqt ka sayyaad
gulon se hausla-e-baal-o-par ki baat karo
qaba-e-zohd ki pakizgi to dekh chuke
sharab-KHane mein daman-e-tar ki baat karo
kahaniyan shab-e-hijran ki ho chuki hain tamam
sahar tulua hui hai sahar ki baat karo
chaman chaman mein udhar ho rahi hai had-bandi
khuli fazaen jidhar hain udhar ki baat karo
gulon ka zikr bahaaron mein kar chuke 'aKHtar'
ab aao hosh mein barq-o-sharar ki baat karo
(740) Peoples Rate This