Shairo Hadd-e-qadamat Se Nikal Kar Dekho
shairo hadd-e-qadamat se nikal kar dekho
dastanon ke ab unwan badal kar dekho
kyun ho taqlid-e-kalim aaj bhi ai dida-waro
didani ho koi jalwa to sambhal kar dekho
sham-o-parwana ka andaz naya hai ki nahin
zikr tha jis ka ab us bazm mein chal kar dekho
aur bhi ruKH nazar aaenge tajalli ke abhi
ruKH nigahon ke zara aur badal kar dekho
agle waqton ke fasane na sunao yaro
nae mahaul ke sanche mein bhi Dhal kar dekho
kal ke andaz bhi dilkash the ye taslim magar
aaj bhi shahr-e-nigaran mein nikal kar dekho
apne ahbab ki jaanib na uThao nazren
dekhna hai agar 'aKHtar' to sambhal kar dekho
(832) Peoples Rate This