Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye
nazar se safha-e-alam pe KHunin dastan likhiye
qalam se kya hikayat-e-zamin-o-asman likhiye
miTa de jo faza ki tirgi mahaul ki pasti
koi aisa bhi sher ai shairan-e-KHush-bayan likhiye
bapa hain har jihat mein aatish-o-ahan ke hangame
kahan is daur mein jaur-o-jafa-e-mahwashan likhiye
KHatar-ha-e-rah-e-majnun ka qissa kyun bayan kijiye
nazar ko naqa-e-laila KHirad ko sarban likhiye
yahi hain yaadgar-e-ghuncha-o-gul is zamane mein
inhin sukhe hue kanTon se zikr-e-gulsitan likhiye
bayan karne ko hai tarz-e-tapak-e-dostan kafi
ab is duniya mein kya rang-e-ghurur-e-dushmanan likhiye
riwayat-e-kuhan mein dilkashi baqi nahin 'aKHtar'
nae andaz se tariKH-e-shahr-e-gul-ruKHan likhiye
(861) Peoples Rate This