Nahin Aasan Tark-e-ishq Karna Dil Se Gham Jaana
nahin aasan tark-e-ishq karna dil se gham jaana
bahut dushwar hai chaDhte hue tufan ka tham jaana
KHabar kya thi sitam ki parda-dari yun bhi hoti hai
bahut nadim hun jab se maqsad-e-josh-e-karam jaana
lihaz-e-waza-dari mein kabhi mumkin na ho shayad
tumhaara do qadam aana hamara do qadam jaana
hamein andaz-e-rindana kabhi girne nahin dete
jo saghar samne aaya usi ko jam-e-jam jaana
mera har sher 'aKHtar' ek payam-e-zindagi nikla
mujhe duniya ne aaKHir malik-e-lauh-e-qalam jaana
(783) Peoples Rate This