Na Raaz-e-ibtida Samjho Na Raaz-e-intiha Samjho
na raaz-e-ibtida samjho na raaz-e-intiha samjho
nazar walon tumhein karna hai ab duniya mein kya samjho
talab mein sidq hai to ek din manzil pe pahunchoge
qadam aage baDhao KHud ko apna rahnuma samjho
ye kya andaz hai itna gurez ahl-e-tamanna se
KHuda taufiq de to ahl-e-dil ka muddaa samjho
tumhaare har ishaare par sar-e-taslim KHam lekin
guzarish hai ki jazbaat-e-mohabbat ko zara samjho
ho koi mauj-e-tufan ya hawa-e-tund ka jhonka
jo pahuncha de lab-e-sahil usi ko naKHuda samjho
jise dekho wahi badmast hi maghrur hai hamdam
koi banda nahin duniya mein kis kis ko KHuda samjho
yahan rahbar ke parde mein bahut rahzan hain ai 'aKHtar'
raho dur us se tum jis ko wafa na-ashna samjho
(1029) Peoples Rate This