Kaifiyat Kya Thi Yahan Aalam-e-gham Se Pahle
kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle
kaun aaya tha teri bazm mein hum se pahle
sab karam hai tere andaz-e-sitam se ai dost
zauq-e-gham dil ko na tha tere sitam se pahle
bandagi teri KHudai se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tere naqsh-e-qadam se pahle
qalb-e-insan ko hai ab phir usi aalam ki talash
teri mahfil thi jahan dair-o-haram se pahle
hum se mansur zamane mein kahan hain 'aKHtar'
dar tak aa nahin sakta koi hum se pahle
(791) Peoples Rate This