Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6fc6cb39097882977e0eb2bad98083d1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jam La Jam Ki Aalam Se Ji Darta Hai - Akhtar Ansari Akbarabadi Poetry In English - Darsaal

Jam La Jam Ki Aalam Se Ji Darta Hai

jam la jam ki aalam se ji Darta hai

asar-e-gardish-e-ayyam se ji Darta hai

lab pe ab aariz-o-gesu ke fasane kya hon

fitnaha-e-sahar-o-sham se ji Darta hai

tujh ko main DhunDhta phirta hun dar-o-baam se dur

ab tajalli-e-dar-o-baam se ji Darta hai

gul khilae na kahin fitna-e-dauran kuchh aur

aaj-kal daur-e-mai-o-jam se ji Darta hai

nigah-e-mast ke qurban meri samt na dekh

mauja-e-baada-e-gulfam se ji Darta hai

chhoD kar rah mein but-KHane guzar jata hun

hosh mein jalwa-e-asnam se ji Darta hai

raat ki zulmaten baDhti hi chali jati hain

'aKHtar' apna to sar-e-sham se ji Darta hai

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jam La Jam Ki Aalam Se Ji Darta Hai In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Jam La Jam Ki Aalam Se Ji Darta Hai is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Jam La Jam Ki Aalam Se Ji Darta Hai for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Jam La Jam Ki Aalam Se Ji Darta Hai in PDF.