Fasurda Ho Ke MaiKHane Se Nikle
fasurda ho ke maiKHane se nikle
yahan bhi apne begane se nikle
shafaq ka rang gahra kar gae aur
jo shoale mere kashane se nikle
zara ai gardish-e-dauran Thaharna
wo nikle rind maiKHane se nikle
gham-e-dil ka asar har bazm mein hai
sab afsane us afsane se nikle
kiya aabaad virane ko hum ne
hamin aabaad virane se nikle
jo pahunche dar tak mansur the wo
hazaron rind maiKHane se nikle
nikalte hum na gham-KHane se 'aKHtar'
hasin mausam ke bahkane se nikle
(681) Peoples Rate This