Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh
dur tak raushni hai ghaur se dekh
maut bhi zindagi hai ghaur se dekh
un charaghon ke baad ai duniya
kis qadar tirgi hai ghaur se dekh
rahnumaon ka jazba-e-isar
ye bhi ek rahzani hai ghaur se dekh
dushmani ko bura na kah ai dost
dekh kya dosti hai ghaur se dekh
tark-e-tadbir-o-justuju ke baad
zindagi zindagi hai ghaur se dekh
gar ye shabnam ka rang laya hai
har taraf tazgi hai ghaur se dekh
hain tahayyur mein wo bhi ai 'aKHtar'
kya teri shairi hai ghaur se dekh
(760) Peoples Rate This