Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae
idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae
jidhar jidhar uThi teri nazar charagh jal gae
ye aur baat raat bhar ka tai na kar sake safar
magar ye kam nahin ki waqt par charagh jal gae
hawa ka aisa zor tha ki ek bala ka shor tha
isi faza mein jo the ba-hunar charagh jal gae
hai baat yun to raat ki magar na ehtiyat ki
to kya karoge dafatan agar charagh jal gae
jo sath subh se chale wo sare log din Dhale
usi taraf ko ho liye jidhar charagh jal gae
wo tirgi ka jal tha ki ab safar muhaal tha
hua ye tere nam ka asar charagh jal gae
(846) Peoples Rate This