Surur
dekh ke tujh ko ye aata hai ki likkhun main ghazal
sochta hun main yahi phir ki zarurat kya hai
husn pe tere ye ranai teri shan jo hai
ye teri zulfon mein KHam jo hai sarape ki shabih
tere nainon ki kaji jo hai adaon pe uruj
surKHi-e-lab ki jo mazbah hai tamannaon ka
tera joban ki jo sharminda-e-sad-fitna hai
shukriya tere huzuri ka bayan kaise ho
jis ki masti mein muqayyad hain sabhi ke azhan
sher-o-naghme isi sarshaari ke do-gane hain
tum to KHud hi ho ghazal jis pe taghazzul hai nisar
aur use paDhna jo chahun to na is ka itmam
aur lafzon mein utarun to har ek lafz-e-surur
(760) Peoples Rate This