Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b37dcf0a6fc54111b721b791c4774a19, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mahbuba Aur Maut - Akhlaq Ahmad Ahan Poetry In English - Darsaal

Mahbuba Aur Maut

mahbuba aur maut mein ek mumasalat hai

ki mujhe donon se mohabbat hai

ai maut kya bataun ki

tere jaisa kaun hai

ki jis se mujh ko pyar hai

ki us pe sab nisar hai

main chahta hun us ko bhi

teri tarah teri tarah

han wo bhi tere jaisi hai

main DhunDhta hun donon ko

KHalaon mein fazaon mein

ai maut ab kahan hai tu

kidhar main DhunDhta phirun

kabhi qarib aae to

kabhi han muskurae to

magar na samjhe mujh ko to

na e'tibar mujh pe ho

to baat mane auron ki

tabib ki hakim ki

kahin jo ghair sun le to

sune na meri baat to

ajib baat hai bhi ye

lagao na gale kabhi

na de mujhe to pyar hi

ye kaisi bebasi meri

na to mile na prit hi

ye donon ek jaisi hain

mujhe samajhti hi nahin

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahbuba Aur Maut In English By Famous Poet Akhlaq Ahmad Ahan. Mahbuba Aur Maut is written by Akhlaq Ahmad Ahan. Read famous Poem Mahbuba Aur Maut for youth and Student by Akhlaq Ahmad Ahan. Free Download Mahbuba Aur Maut in PDF.