Laga Ke Aag Bujhane Ki Baat Karte Ho
laga ke aag bujhane ki baat karte ho
phaphule dil mein sajaane ki baat karte ho
nahin samajhte meri haalat-e-darun ko tum
faqat jo karte bahane ki baat karte ho
sunaun main jo kabhi haal apni ulfat ka
subut mujh se dikhane ki baat karte ho
guzar kar main yahan aaya hun shab-e-zulmat
karam na kar ke jalane ki baat karte ho
jo puchhta hun kabhi be-ruKHi ki main illat
bana ke baat banane ki baat karte ho
kabhi sitam pe jo bharta hun aah tab bhi to
mere lahu mein nahane ki baat karte ho
tere huzur mein aaya jo aahan-e-be-bas
pinha ke beDi na jaane ki baat karte ho
(1381) Peoples Rate This