Kabhi To Dub Chale Hum Kabhi Ubharte Hue
kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue
KHud apni zat ke dariya ko par karte hue
yahin se rah koi aasman ko jati thi
KHayal aaya hamein siDhiyan utarte hue
agar wo KHwab hai jo aankh mein salamat hai
to phir ye kya hai jise dekhta hun marte hue
simaT ke KHud mein mera KHair kya bana hota
hawa ke dosh pe tha dur tak bikharte hue
nae safar ki kahin ibtida na ho manzil
ye panw puchh rahe hain thakan se Darte hue
abhi to dur talak aasman suna tha
kahan se aa gae panchhi uDan bharte hue
(772) Peoples Rate This