Wo Hazar Hum Pe Jafa Sahi Koi Shikwa Phir Bhi Rawa Nahin
wo hazar hum pe jafa sahi koi shikwa phir bhi rawa nahin
ki jafa to un ki KHata nahin jinhen koi qadr-e-wafa nahin
meri bad-zani pe ye ranjishen to kisi bhi taur baja nahin
ki jahan-e-ishq mein bad-zani to huzur jurm-o-KHata nahin
mere ishq ko teri be-ruKHi hi nasib hai to yahi sahi
teri be-ruKHi rahe shadman mujhe be-ruKHi ka gila nahin
ye ghalat ki mahfil-e-naz mein koi aashna-e-nazar na tha
koi tum se kah to raha tha kuchh magar aah tum ne suna nahin
unhen aur ilm-e-rah-e-wafa ye yaqin bhi aae to kis tarah
ki unhi ke daman-e-naz par kahin KHak-e-rah-e-wafa nahin
mere ai dil-e-alam-ashna kisi wahm mein na ho mubtala
tujhe rakh sakenge wo yaad kya kabhi jin ka dil hi dukha nahin
ye mah-e-do-hafta ki chandni mein dil-e-shikasta ki hasraten
kabhi mere dil hi se puchh lo jo tumhaare dil ko pata nahin
ye kamal-e-jazba-o-sar nahin tere sang-e-dar hi ki baat hai
tere ek dar pe jo jhuk gaya wo hazar dar pe jhuka nahin
unhen yun na dar se haTaiye unhen kuchh to de ke hi Taliye
ki wahi gharib-e-dayar hain wo gharib jin ka KHuda nahin
(895) Peoples Rate This