KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai
KHud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai
baghbanon pe bahaaron ko hansi aati hai
ab ye kyun zikr-e-bahaaran pe chaman mein akasr
phul to phul hain KHaron ko hansi aati hai
mehr-o-iKHlas ki duniya mein ye kya baat hui
aaj yaron hi pe yaron ko hansi aati hai
aisi be-jaan si hai mere harifon ki hansi
jaise tufan pe kinaron ko hansi aati hai
kya kare aah wo bechaara musafir jis par
aap ki rah-guzaron ko hansi aati hai
koi jab chand sitaron se ho masruf-e-suKHan
kis qadar chand sitaron ko hansi aati hai
KHair ho KHair mashiyyat ke iradon ki qasam
aaj taqdir ke maron ko hansi aati hai
hae kis moD pe aaya hai ab afsana-e-gham
mere afsana-nigaron ko hansi aati hai
hum hain mahrum-e-masarrat to koi baat nahin
ye bhi kya kam hai sahaaron ko hansi aati hai
gardish-e-waqt ne kya phir koi surat badli
ya yunhi waqt-guzaron ko hansi aati hai
shayad 'aKHgar' hi ki tauba ki KHabar hai yaro
aaj saqi ke ishaaron ko hansi aati hai
(868) Peoples Rate This