Junun-e-ishq Ka Jo Kuchh Hua Anjam Kya Kahiye
junun-e-ishq ka jo kuchh hua anjam kya kahiye
kisi se ab ye rudad-e-dil-e-nakaam kya kahiye
phiri kyun kar nigah-e-saqi-e-gulfam kya kahiye
bhari mahfil mein asbab-e-shikast-e-jam kya kahiye
ye kaisi dil mein hai ek zulmat-e-be-nam kya kahiye
bujha kyun dafatan az-KHud charagh-e-sham kya kahiye
taghaful par wo do harf-e-shikayat bhi qayamat the
zamane bhar ke hum par aa gae ilzam kya kahiye
mera dard-e-nihan bhi aaj ruswa-e-zamana hai
ek aah-e-zer-e-lab bhi ban gai dushnam kya kahiye
dar-o-diwar par chhae hue hain yas ke manzar
dayar-e-namuradi ke ye subh-o-sham kya kahiye
jahan-e-arzu bhi rafta rafta ho chala viran
ek aaghaz-e-hasin ka aah ye anjam kya kahiye
umid-o-yas mein ye roz-o-shab ki kashmakash tauba
ba-har-lamha fareb-e-gardish-e-ayyam kya kahiye
ye kis ke dar se tane mil rahe hain sajda-o-sar ko
ye kis dar par hai zauq-e-bandagi badnam kya kahiye
kahan ka shikwa-e-gham hum to bas shukr-e-sitam karte
magar shukr-e-sitam ka bhi hai jo anjam kya kahiye
ada-e-bad-gumani bhi sarisht-e-ishq hai lekin
ye kyun kar ban gai minjumla-e-ilzam kya kahiye
rahenge hashr tak mamnun-e-ehsan-e-dil-azari
KHulus-e-ishq par ye qimti inam kya kahiye
baDhi jati hai ab to aur bhi kuchh duri-e-manzil
achanak nau-ba-nau-dushwari-har-gam kya kahiye
wo apni sai-e-tajdid-e-junun bhi raegan Thahri
bas ab aage maal-e-hasrat-e-nakaam kya kahiye
na samjhe aaj tak rang-e-mizaj-e-yar-e-be-parwa
magar phir bhi zaban par hai usi ka nam kya kahiye
(840) Peoples Rate This