Itna Bhi Nahin Karte Inkar Chale Aao
itna bhi nahin karte inkar chale aao
sau bar bulaya hai ek bar chale aao
hon fasle naqshon ke ya farq hon shahron ke
dil se to nahin duri sarkar chale aao
ek muntazir-e-wada bedar to hai kab se
ho jae muqaddar bhi bedar chale aao
andesha-e-ruswai kyun rah mein hail ho
kar lenge zamane ko hamwar chale aao
ta-chand wahi ranjish lillah idhar dekho
lo jurm ka karte hain iqrar chale aao
be-kaifi-e-mausam ka ye uzr hai be-mani
lag jaenge phulon ke ambar chale aao
is aabla-pai mein KHaron ki shikayat kya
kuchh KHar bhi hain aaKHir haqdar chale aao
jab chal hi paDe 'aKHgar' phir fikr koi kaisi
jis tarah bane ab to sarkar chale aao
(890) Peoples Rate This