Hangama-e-afat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
hangama-e-afat idhar bhi hai udhar bhi
barbaadi-e-haalat idhar bhi hai udhar bhi
honTon pe tabassum kabhi palkon pe sitare
ye dil ki karamat idhar bhi hai udhar bhi
bechain agar main hun to wo bhi hain pareshan
dar-parda koi baat idhar bhi hai udhar bhi
aashuftagi-e-qalb-o-nazar chhup na sakegi
ek mahshar-e-jazbaat idhar bhi hai udhar bhi
har chand takalluf hai mulaqat mein lekin
arman-e-mulaqat idhar bhi hai udhar bhi
mujrim kise gardaniye kahiye kise masum
ek sail-e-shikayat idhar bhi hai udhar bhi
kyunkar kabhi niklegi koi sulh ki surat
ek talKHi-e-jazbaat idhar bhi hai udhar bhi
un ko bhi koi ranj hai mujh ko bhi koi gham
ek fikr si din raat idhar bhi hai udhar bhi
afsos bhari bazm mein bhi mil nahin sakte
kuchh pas-e-riwayat idhar bhi hai udhar bhi
jo tark-e-talluq pe bhi jati nahin dil se
wo dil ki lagi baat idhar bhi hai udhar bhi
nale bhi sharar-bar hain naghme bhi sharar-bar
ek aatish-e-jazbaat idhar bhi hai udhar bhi
'aKHgar' hi ka daman nahin namnak shab-e-gham
aankhon ki ye barsat idhar bhi hai udhar bhi
(1146) Peoples Rate This